Doston do dino se mere dil aur dimagh par BIHAR KE  MOUNTAN MAN ka naam baar baar araha tha ke main un par kuch aap logo tak pahunchaon. aaj main jab ye article likh raha hoon tu mujhe behad Khushi ho rahai hai ke aaj main apne desh ke ek Gharib aur aam se aadmi ka zikar karne ja raha hoon.jis ne lakho logo ki zindagi asan kar di.aur jis ko dunya aur hamara desh hamesh yad rakhe ga. un ka naam batane se pahle kuch batein aap se share karonga ta ke aap pahle mere hints se un ka naam guess kar paye. wo ek labour the .wo ek musahar family mein janme.kam umar mein ghar se bhag kar Dhnbad ke mine mein barso kaam kiya.un ka taluq bihar ke Gaye ke pass ek gau GEHLAUR se hai.kuch yaad aaya .chaliye main ek kuch hints aur de de raha hoon.un ke naam par bahut si documentary aur movies ban chuki hai.ab bhi nahi samjhe , ab main jo hints dene ja raha hoon us ke baad aap zaroor samjh payegein. un ke naam par Baharat Sarkar ne dak ticket issue kiya,un hon ne 55 km ki Pahari distance ko apne kam se kam kar ke sirf 15 km kar diya.unho ne 22 saal tak ek pahar ka sina chir kar 55 km ke rasta ko 15 km kar diya , who koi aur nahi balke hamare DASHRATH MANJHI hai.
un ki story aap padhein ke tu ye aap ko bahut hi inspirational lagi gi.

dashrat Majhi ji ka gau jo tha wahan log paharo se aana jana karte the.jo ke aaj ke jug mein bahut ajib baat lagti hai.magar ye sach hai aaj bhi hamre desh bharat mein bahut se aise gau hain jahan ka main road ya Rasta Pahar hai.ek din un ki wife un ke liye khana lekar paharo se guzar rahai thi ke achank gir gayi aur chuke waha se Doctor health clinic pahunche ka rasta paharo se ghoom kar jana parta tha jis ki kul distance 55 km ki thai.itna lamba distance hone ki wajaha se raste mein un ki wife ne un sath chod diya.
ab DASHRAT MAJHI JI ye thana ke ab koi paharo ki bhent nahi chadhega aur unhon ek aisa faisla kiya jis ko log pagalpan kahte the.history ghawah jab bhi insan ne jab bhi kuch bada kuch mushkil aur kuch naya karna ko soch logo ne us ko pagalpan hi kaha.magar Dashrath Majhi ji ko logo ki in bato se koi farq nahi para.unho ne sirf ek chhini aur ek Hathodi se paharo ka sina chirna shuru kiya.na un ke pass sab auzar available tha aur nahi khane pine ka koi khas intezam , kabhi kabhi wo bhuke rah kar bhi paharo ko katne mein lage rahte the.ye missal un logo ko zaroor yad rakhan chahiye jo baat baat mein kuch bhi karne ke liye dher sari suvidhao ki baat karte hai aur kahte hain hame ye suvidha milti tu main ye kar ke zaroor dikha deta.
Garmi , Thandi , Barsat , andhi wa tufan kisi mein itna dum nahi raha hai ke who Dashrat Majhi ji ko rok sake. wo sab aate aur un ke hausla , himmat aur junoon  dekh kar un se haar ke khud hi chale jate.


Wo Rasta Jo Dashrath Majhi ji pahar kat kar Banaya


magar Majhi ji ka ek minute ke liye bhi un ka dheyan waha se nahi hata.
akhair 22 ( 1960-1982 ) saal ki kathod mahnat aur sabar ke samne wo pahar bhi har maan gaya jab logo ne dekha ke 110m lamba , 7.7 gahra aur 9.1 m chaura rasta ban chuka hai.ab ATRI AUR GAYA KE 55 KM KA RASTA AB SIRF 15 KM MEIN BADAL CHUKA THA.
2007 mein Gallbladder cancer se un ki maut ho gayi .magar un ka kaam rahti dunya tak yad kiya jayega.

LESSON / SABAQ / MORAL

Is kahani mein bahut kuch hai.agar hum success ke liya koi short cut rasta nahi chahte hai. jaise lambi waqt tak mahnat , Mausam aur Bimari ka koi bahana nahi karna hoga, sadhan ka bahana band karna hoga.aur sab se badi baat rato rat kuch nahi hoga us ke liya 22 saal na sahi kuch saal ya kuch mahina tu kisi bhi field mein sabar se dena hoga.akhir mein ek baat Ziddi banna hoga .Network marketing mein aap ne ye sari batein apply kar lein tu Kamyabi aap ka muqaddar ban jayegi.

ummed hai aap ko ye story pasand aayi hogi .aap apne seminar mettiing mein in sab story ko use kar ke ek smetting ya seminar ko successful bana sakte hai.

Ziyadah aur har Tarah ki motivational  jankari  khas taur par atomy ke bare mein update information ke liye hamare side ka regular visit karein..

WEBSITE : GLOBALATOMYINDIA.BLOGSPOT.COM

Thanking you !



Post a Comment

If you have any doubt , Please let me know

أحدث أقدم