Doston kal main ne ek bahut hi interesting aur motivational movie dekhi .aur mere khyal mein aap sabhi ko ek baar ye movies zaroor dekhni chahiye kam se kam ek baar to zaroor.
is movie mein Hollywood ke super star Mr.Leonardo DiCaprio main leading role main hai.Leonardo DiCaprio ko hum sabhi ne Iconic Movie TITANIC mein bhi main leading role mein dekha hai.magar aaj ki meri wo story TITANIC par based nahi hai balke un hi ki ek  super hit movies " CATCH ME IF YOU CAN (2002 )" Se hai.


Doston bahut hi bahtreen movies hai jis mein hum sab ke kiye bahut kuch seikhne ke liye maujood hai.Movie mein Christopher walker un ke father ke role mein hain.wo ek Bank crupt businessman hain aur apne bete ko mushkil halat se lad kar kamyabi kaise hasil ki jati hai ye shikhate hai.Ek baar un ko ek business award function mein bulaya jata hai jahan who apne bete ko lekar jate hain wahan un ka bahut Mazak bhi banaya jata hai but who ek kahani sunate hain jis se un ka intention bahut sare logo ko samjh mein aajata hai khas taur par un ke bete Frank ko..
wo kahani sunate hue kahte hai ke ..



DO Chuhe Doodh mein gir gaye .ek ne himmat hari aur hat par chalana chhod diya aur usi doodh mein dub kar mar gaya magar dosra baar baar lgatar hat aur per chalata raha yaha tak ke us ne us doodh ka makhan bana diya aur phis us par char kar bahar aa gaya.aur ek nayi zindagi pa liya.

Moral /Lesson / Sabaq

Insan ke zati zindagi ho ya karobari zindagi insan kisi bhi waqt preshani aur problems mein aa sakta hai magar insan ko isse Ghabrana nahi chiye us ka samna karna chahiy.aur lagatar mahnat karte rahna chahiye aur us waqt mahnat karna chahiye jab tak ke aap ki zindagi se who problems khatam na ho jaye.iss se koi fark nahi parta hai ke aap kon hai aur kya hai.farq sirf isse parta hai ke aap mein kitni sabar ke sath apne sapne pura karne ke liye  mahanat karna ka jazbah hai.

All the Best !

keep visiting our site and get instantly update information regarding Atomy.

Thanks to all




Post a Comment

If you have any doubt , Please let me know

أحدث أقدم