LAGATAR MAHNAT SE EK DIN KAMYABI ZAROOR MILTI HAI
Ek bar kuchh mendhak ka Group ek lambi Safar par nikla Jab woh ek Jungle se guzar rahe the usi waqt in ke group ke do Members cham aur sham donon Laparwahi ke wajah se Ek gadhe ne gir Gaye. unke sathi doston ne unhen nikaalne ke liye bahut koshish Ki lekin wo use nikalne mein nakam Ho Gaya.
Ab Thank Har Kar Sare Mendhako ne ye faisla liya ke ab un dono ko yahein Chhod Kar age ke Safar par sab ko rawana hona Chahiye.
Unhon se Cham aur Sham ko Awaz di ke Mujhe nahi lagta ke ab tum dono kabhi is gadhe se nikal paoge. Is liye ab tum dono Apna Khayal Rakhana ye kah Kar Sare Mendhak wahan se chale Gaye.
Sham ne Jab ye baat Suni tu woh bahut Udas ho gaya aur har maan kar ek kone mein ja baitha.
Magar Cham Baar Baar koshish kiye ja Raha that magar , Gadha Unchi hone ki wajah se woh Qareeb Qareeb pahunchta magr wapas Apni Jagah par niche gir jata.
Sham ko Cham ke Haal par taras aata wo Cham ke Girne par har baar yahi kahta ke Bhai ab yahi Gadha hamari muqardar hai. tum Jaldi is ko maan lo ge usi mein tumhari Bhalai hai. Magar Cham , Sham ki koi baat nahi sunta aur lagar tar Nakam Koshish Kiya Jata.
Cham Ko is Gadhe se nikal Kar Bahar ki Dunya dekhni thi use Is Gadhe mein Apni Zindagi ke Qeemti Pal nahi Bekar Guzarne the. Wo Apne Aap se kahta tha " main ek Gadhe mein Marne ke liya is Dunya mein Nahi Aaya "
Isi liye woh Sham ki Negative Bato se beparwah hokar Apna Sara focus Koshish mein lagata Raha.
Baar Baar Chhlang Marne ki Practice karte karte Us mein Chalang Marne mein itna mahir ho Gaye ke ek din Ek Aisi Lambi Chhalang Lagai ke wo achnak us Gadhe ke Bahar nikal Aaya. Us ka Sabar , Us ki Mahnat , us ka Bharosa , us Practice , Us ka Jazbah ne us din Cham ko Sach much ka Champion Bana Diya. Sham dekhta Rah Gaya aur Cham Zindagi ki Baqi Safar ke Chal Para.
Sabaq / Lesson
....... Zindagi ke Har mor par hame Nakami ka Rasta aur negative bolne wale aise log mil hi jate hai.Log Chahe Jo bhi bole Agar Aap ko Apni mahnat , lagan aur Jazbah par Yaqin hai tu Sham ki tarah Hame bhi Kamyabi ke liye koshish karti rahni Chahiye. Aur Yaqqen janiye Mahnat kabhi Bekar nahi jati aur mahnati aadmi kabhi fail nahi hota.
Post a Comment
If you have any doubt , Please let me know